sawar koi pas-e-parda-e-ghubar na tha
savār koī pas-e-parda-e-ġhubār na thā
magar tajassus-e-nazzāra ko qarār na thā
maiñ is qadar bhī to auhām kā shikār na thā
ḳhushā vo din ki tirā lutf baar baar na thā
vo ek shaḳhs jo rah rah ke yaad aatā hai
vafā-shanās thā lekin vafā-shi'ār na thā
ye hādisa bhī 'ajab hai ki mere hone par
sivā.e mere koī aur sogvār na thā
mire yaqīn kī zanjīr kaT ga.ī hotī
tire fareb kā ḳhanjar hī āb-dār na thā
vo hādse ki lahū-rang ho gayā ehsās
vo sānahe ki mujhe jin kā intizār na thā
sawar koi pas-e-parda-e-ghubar na tha
magar tajassus-e-nazzara ko qarar na tha
main is qadar bhi to auham ka shikar na tha
KHusha wo din ki tera lutf bar bar na tha
wo ek shaKHs jo rah rah ke yaad aata hai
wafa-shanas tha lekin wafa-shi'ar na tha
ye hadisa bhi 'ajab hai ki mere hone par
siwae mere koi aur sogwar na tha
mere yaqin ki zanjir kaT gai hoti
tere fareb ka KHanjar hi aab-dar na tha
wo hadse ki lahu-rang ho gaya ehsas
wo sanahe ki mujhe jin ka intizar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.