sawere ghar chala jaun to bistar kaT sakta hai
savere ghar chalā jā.ūñ to bistar kaaT saktā hai
batā.ūñ maiñ tumheñ kaise mujhe ghar kaaT saktā hai
tahayyur pesh karnā us ke maslak meñ nahīñ shāmil
bañdhī zanjīr ko ḳhud bhī qalandar kaaT saktā hai
abhī ye munkashif us par nahīñ ye mere haq meñ hai
mujhe vo mere hī jumle se behtar kaaT saktā hai
na kar paanī se hī paivand-kārī kashtī-e-jāñ kī
bhañvar ke biich jaate hī samundar kaaT saktā hai
bañdhī hai aañkh par paTTī to hai talvār hāthoñ meñ
koī bhī ab mire baazū mire sar kaaT saktā hai
lagā kar ghaat baiThā hai badan ke ek goshe meñ
lahū kī nahr koī mere andar kaaT saktā hai
sawere ghar chala jaun to bistar kaT sakta hai
bataun main tumhein kaise mujhe ghar kaT sakta hai
tahayyur pesh karna us ke maslak mein nahin shamil
bandhi zanjir ko KHud bhi qalandar kaT sakta hai
abhi ye munkashif us par nahin ye mere haq mein hai
mujhe wo mere hi jumle se behtar kaT sakta hai
na kar pani se hi paiwand-kari kashti-e-jaan ki
bhanwar ke bich jate hi samundar kaT sakta hai
bandhi hai aankh par paTTi to hai talwar hathon mein
koi bhi ab mere bazu mere sar kaT sakta hai
laga kar ghat baiTha hai badan ke ek goshe mein
lahu ki nahr koi mere andar kaT sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.