sawere sitaron ki shabnam kahan
savere sitāroñ kī shabnam kahāñ
zarā der meñ tum kahāñ ham kahāñ
udāsī ke sāvan baras do baras
javānī ga.ī phir ye mausam kahāñ
musāfir ko āñgan ke phūloñ se kyā
havā kī hathelī pe shabnam kahāñ
hamārā badan dhuup kā baaġh hai
yahāñ chāñdnī aur shabnam kahāñ
shikastoñ ke Dere muñDeroñ pe haiñ
hamārī fasīloñ pe parcham kahāñ
sawere sitaron ki shabnam kahan
zara der mein tum kahan hum kahan
udasi ke sawan baras do baras
jawani gai phir ye mausam kahan
musafir ko aangan ke phulon se kya
hawa ki hatheli pe shabnam kahan
hamara badan dhup ka bagh hai
yahan chandni aur shabnam kahan
shikaston ke Dere munDeron pe hain
hamari fasilon pe parcham kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.