aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare KHat mein naya ek salam kis ka tha

Dagh Dehlvi

tumhaare KHat mein naya ek salam kis ka tha

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    tumhāre ḳhat meñ nayā ik salām kis thā

    na thā raqīb to āḳhir vo naam kis thā

    that new greeting in your note, from whom was it do say

    if not my rival's signature, whose name was it then, pray?

    vo qatl kar ke mujhe har kisī se pūchhte haiñ

    ye kaam kis ne kiyā hai ye kaam kis thā

    after having slain me, she, from each one, seeks to know

    who's to blame for this dark deed, this blood is on whose brow?

    vafā kareñge nibāheñge baat māneñge

    tumheñ bhī yaad hai kuchh ye kalām kis thā

    I will bear faith, I will abide, to every wish submit

    do you too perchance recall who did, to this, commit?

    rahā na dil meñ vo bedard aur dard rahā

    muqīm kaun huā hai maqām kis thā

    the tyrant's in my heart no more, all that remains is pain

    who was the inhabitant, and whose was this domain?

    na pūchh-gachh thī kisī vahāñ na āv-bhagat

    tumhārī bazm meñ kal ehtimām kis thā

    no concern for anyone, no hospitality

    who managed the event last night in your company?

    tamām bazm jise sun ke rah ga.ī mushtāq

    kaho vo tazkira-e-nā-tamām kis thā

    the story which had kept the whole gathering enthralled

    whose saga was it, incomplete, that was being recalled?

    hamāre ḳhat ke to purze kiye paḌhā bhī nahīñ

    sunā jo ne ba-dil vo payām kis thā

    to pieces was my letter shred, it wasn't even read

    whose message was it, do tell me, that was heard instead?

    uThā.ī kyuuñ na qayāmat adū ke kūche meñ

    lihāz aap ko vaqt-e-ḳhirām kis thā

    why was a furor, storm not raised then in my rival's lane

    when your gait ventured there, what thought did constrain?

    guzar gayā vo zamāna kahūñ to kis se kahūñ

    ḳhayāl dil ko mire sub.h o shaam kis thā

    Gone are the days, were I to speak, to whom could I convey

    who was it that occupied my thoughts all night and day?

    hameñ to hazrat-e-vā.iz zid ne pilvā.ī

    yahāñ irāda-e-sharb-e-mudām kis thā

    it was the priest's insistence that, caused me so to drink

    else to imbibe non-stop this way, never did I think

    agarche dekhne vaale tire hazāroñ the

    tabāh-hāl bahut zer-e-bām kis thā

    though thousands had been present a sight of you to get

    who was it that sat distraught below the parapet

    vo kaun thā ki tumheñ jis ne bevafā jaanā

    ḳhayāl-e-ḳhām ye saudā-e-ḳhām kis thā

    who was it that thought of you as faithless and untrue

    whose naivety and mindlessness did this belief pursue

    inhīñ sifāt se hotā hai aadmī mash.hūr

    jo lutf aam vo karte ye naam kis thā

    with these very qualities a person gets much fame

    if favors were bestowed on all, where would be the acclaim?

    har ik se kahte haiñ kyā 'dāġh' bevafā niklā

    ye pūchhe un se koī vo ġhulām kis thā

    how faithless daaG has proved to be, she says to one and all

    whose slave was he then? someone should ask her to recall

    tumhaare KHat mein naya ek salam kis ka tha

    na tha raqib to aaKHir wo nam kis ka tha

    that new greeting in your note, from whom was it do say

    if not my rival's signature, whose name was it then, pray?

    wo qatl kar ke mujhe har kisi se puchhte hain

    ye kaam kis ne kiya hai ye kaam kis ka tha

    after having slain me, she, from each one, seeks to know

    who's to blame for this dark deed, this blood is on whose brow?

    wafa karenge nibahenge baat manenge

    tumhein bhi yaad hai kuchh ye kalam kis ka tha

    I will bear faith, I will abide, to every wish submit

    do you too perchance recall who did, to this, commit?

    raha na dil mein wo bedard aur dard raha

    muqim kaun hua hai maqam kis ka tha

    the tyrant's in my heart no more, all that remains is pain

    who was the inhabitant, and whose was this domain?

    na puchh-gachh thi kisi ki wahan na aaw-bhagat

    tumhaari bazm mein kal ehtimam kis ka tha

    no concern for anyone, no hospitality

    who managed the event last night in your company?

    tamam bazm jise sun ke rah gai mushtaq

    kaho wo tazkira-e-na-tamam kis ka tha

    the story which had kept the whole gathering enthralled

    whose saga was it, incomplete, that was being recalled?

    hamare KHat ke to purze kiye paDha bhi nahin

    suna jo tu ne ba-dil wo payam kis ka tha

    to pieces was my letter shred, it wasn't even read

    whose message was it, do tell me, that was heard instead?

    uThai kyun na qayamat adu ke kuche mein

    lihaz aap ko waqt-e-KHiram kis ka tha

    why was a furor, storm not raised then in my rival's lane

    when your gait ventured there, what thought did constrain?

    guzar gaya wo zamana kahun to kis se kahun

    KHayal dil ko mere subh o sham kis ka tha

    Gone are the days, were I to speak, to whom could I convey

    who was it that occupied my thoughts all night and day?

    hamein to hazrat-e-waiz ki zid ne pilwai

    yahan irada-e-sharb-e-mudam kis ka tha

    it was the priest's insistence that, caused me so to drink

    else to imbibe non-stop this way, never did I think

    agarche dekhne wale tere hazaron the

    tabah-haal bahut zer-e-baam kis ka tha

    though thousands had been present a sight of you to get

    who was it that sat distraught below the parapet

    wo kaun tha ki tumhein jis ne bewafa jaana

    KHayal-e-KHam ye sauda-e-KHam kis ka tha

    who was it that thought of you as faithless and untrue

    whose naivety and mindlessness did this belief pursue

    inhin sifat se hota hai aadmi mashhur

    jo lutf aam wo karte ye nam kis ka tha

    with these very qualities a person gets much fame

    if favors were bestowed on all, where would be the acclaim?

    har ek se kahte hain kya 'dagh' bewafa nikla

    ye puchhe un se koi wo ghulam kis ka tha

    how faithless daaG has proved to be, she says to one and all

    whose slave was he then? someone should ask her to recall

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Urdu Studio

    Urdu Studio

    Mehran Amrohi

    Mehran Amrohi

    RECITATIONS

    Javed Naseem

    Javed Naseem,

    Javed Naseem

    Javed Naseem,

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Javed Naseem

    TUMHARE KHAT MEIN Javed Naseem

    Javed Naseem

    Tumhare khat mein naya ek salam kiska tha Javed Naseem

    Fasih Akmal

    tumhaare KHat mein naya ek salam kis ka tha Fasih Akmal

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now