sayyaad kah raha hai rihai na denge hum
sayyād kah rahā hai rihā.ī na deñge ham
apnī hai zid qafas meñ dikhā.ī na deñge ham
ab jurm-e-‘āshiqī pe safā.ī na deñge ham
jaatī hai jaan jaa.e duhā.ī na deñge ham
ham dāstān-e-'ishq haiñ ham ko yahīñ suno
mahshar ke shor meñ to sunā.ī na deñge ham
ab bhī jo muttahid na hue ham to dekhnā
naqshe pe kal jahāñ ke dikhā.ī na deñge ham
'dānish' haiñ ham charāġh-e-sahar kī tarah yahāñ
hote hī sub.h tum ko dikhā.ī na deñge ham
sayyaad kah raha hai rihai na denge hum
apni hai zid qafas mein dikhai na denge hum
ab jurm-e-‘ashiqi pe safai na denge hum
jati hai jaan jae duhai na denge hum
hum dastan-e-'ishq hain hum ko yahin suno
mahshar ke shor mein to sunai na denge hum
ab bhi jo muttahid na hue hum to dekhna
naqshe pe kal jahan ke dikhai na denge hum
'danish' hain hum charagh-e-sahar ki tarah yahan
hote hi subh tum ko dikhai na denge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.