saza dena hai to aisi saza de
sazā denā hai to aisī sazā de
kisī se ishq karnā hī sikhā de
mujhe phir kuchh duā.eñ māñgnī haiñ
ufuq se phir koī taara girā de
vo tujh ko āzmānā chāhtā hai
tū apne sabr se us ko harā de
agar jaanā hai to jaa.e vo lekin
sabab to chhoḌ jaane kā batā de
banā.ūñ koī to aisī ḳhabar meñ
ḳhabar us ko jo andar tak hilā de
bas itnī raushnī kī aarzū hai
jo mere saa.e se mujh ko milā de
maiñ ḳhud se baat jī bhar kar sakūñ bas
mujhe itnī havā itnī fazā de
saza dena hai to aisi saza de
kisi se ishq karna hi sikha de
mujhe phir kuchh duaen mangni hain
ufuq se phir koi tara gira de
wo tujh ko aazmana chahta hai
tu apne sabr se us ko hara de
agar jaana hai to jae wo lekin
sabab to chhoD jaane ka bata de
banaun koi to aisi KHabar mein
KHabar us ko jo andar tak hila de
bas itni raushni ki aarzu hai
jo mere sae se mujh ko mila de
main KHud se baat ji bhar kar sakun bas
mujhe itni hawa itni faza de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.