sehn-e-chaman mein phulon ke ruKHsar nam hue
sehn-e-chaman meñ phūloñ ke ruḳhsār nam hue
kuchh hādse zarūr kahīñ sub.h-dam hue
rakh lī shikasta-pā.ī ne josh-e-junūñ kī laaj
phūTā jab aabla koī ham taaza dam hue
sūraj-mukhī kī chhāoñ meñ baiThe haiñ ab ke log
har āftāb-e-nau ko jo dekhā to ḳham hue
har daur kī ham ahl-e-junūñ dāstāñ bane
har rang meñ hamāre fasāne raqam hue
aayā hameñ na raas tirā pattharoñ kā shahr
muddat guzar ga.ī sar-e-taslīm ḳham hue
mahsūs ho rahā hai ki sadiyāñ guzar ga.iiñ
uf tere intizār ke lamhe na kam hue
TuuTe diloñ ke ā.ina-ḳhāne hī ai 'bahār'
shīsha kabhī bane to kabhī jām-e-jam hue
sehn-e-chaman mein phulon ke ruKHsar nam hue
kuchh hadse zarur kahin subh-dam hue
rakh li shikasta-pai ne josh-e-junun ki laj
phuTa jab aabla koi hum taza dam hue
suraj-mukhi ki chhaon mein baiThe hain ab ke log
har aaftab-e-nau ko jo dekha to KHam hue
har daur ki hum ahl-e-junun dastan bane
har rang mein hamare fasane raqam hue
aaya hamein na ras tera pattharon ka shahr
muddat guzar gai sar-e-taslim KHam hue
mahsus ho raha hai ki sadiyan guzar gain
uf tere intizar ke lamhe na kam hue
TuTe dilon ke aaina-KHane hi ai 'bahaar'
shisha kabhi bane to kabhi jam-e-jam hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.