sehn-e-dil ke sabhi phulon ko jawan rahne do
sehn-e-dil ke sabhi phulon ko jawan rahne do
Syed Khadime Rasul Aini
MORE BYSyed Khadime Rasul Aini
sehn-e-dil ke sabhī phūloñ ko javāñ rahne do
pur-shabāb apne chaman kā ye samāñ rahne do
phir kabhī sar na uThā paa.eñ jahāñ ke zālim
sīna-e-zulm pe sīdhā sā nishāñ rahne do
ho na jaa.e kabhī ehsās kā bulbul ġhamgīñ
is ko rakkho na nihāñ balki ayaañ rahne do
tum ko rakhnā hai taqaddus kī fazā gar qaa.em
dil kī masjid meñ mohabbat kī azaañ rahne do
āb-e-irfāñ se raheñ haq ke musāfir sairāb
apne atrāf hidāyat kā kuaañ rahne do
dil karo fat.h tum iḳhlās kī talvāroñ se
nafrat-o-buġhz ke tum teġh-o-sināñ rahne do
dard darvāza-e-dil par na de dastak 'ainī'
mad.h-e-mahbūb sadā vird-e-zabāñ rahne do
sehn-e-dil ke sabhi phulon ko jawan rahne do
pur-shabab apne chaman ka ye saman rahne do
phir kabhi sar na uTha paen jahan ke zalim
sina-e-zulm pe sidha sa nishan rahne do
ho na jae kabhi ehsas ka bulbul ghamgin
is ko rakkho na nihan balki ayan rahne do
tum ko rakhna hai taqaddus ki faza gar qaem
dil ki masjid mein mohabbat ki azan rahne do
aab-e-irfan se rahen haq ke musafir sairab
apne atraf hidayat ka kuan rahne do
dil karo fath tum iKHlas ki talwaron se
nafrat-o-bughz ke tum tegh-o-sinan rahne do
dard darwaza-e-dil par na de dastak 'aini'
madh-e-mahbub sada wird-e-zaban rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.