sehn-e-gulshan mein chandni dekhen
sehn-e-gulshan meñ chāñdnī dekheñ
husn-e-takmīl-e-zindagī dekheñ
aao fitrat kī dekheñ ra.anā.ī
pattiyāñ kuchh harī harī dekheñ
merā har sher hai nishān-e-hayāt
merā andāz-e-shā.irī dekheñ
sirf tere hī ham pujārī haiñ
dil meñ terī hī mūrtī dekheñ
chashm-e-bātin khule to baat bane
arsh ke raaz har ghaḌī dekheñ
merī nazroñ meñ ek sā hai samāñ
kamtarī aur na bartarī dekheñ
mast-o-be-ḳhud sā hai 'bajāj' koī
us kā andāz-e-zindagī dekheñ
sehn-e-gulshan mein chandni dekhen
husn-e-takmil-e-zindagi dekhen
aao fitrat ki dekhen ranai
pattiyan kuchh hari hari dekhen
mera har sher hai nishan-e-hayat
mera andaz-e-shairi dekhen
sirf tere hi hum pujari hain
dil mein teri hi murti dekhen
chashm-e-baatin khule to baat bane
arsh ke raaz har ghaDi dekhen
meri nazron mein ek sa hai saman
kamtari aur na bartari dekhen
mast-o-be-KHud sa hai 'bajaj' koi
us ka andaz-e-zindagi dekhen
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 77)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.