shairi shairon ki zinat hai
shā'irī shā'iroñ kī zīnat hai
is liye aap se mohabbat hai
yā'nī ramzān kā mahīna bhī
mominoñ ke liye fazīlat hai
kuchh nahīñ māvarā-e-hairat-e-chashm
chashm-e-bīnā kī bas suhūlat hai
zindagī dāstān-e-'ishq hai aur
'ishq se zindagī ko rāhat hai
aap ko dekh kar tasallī huī
aap kā dekhnā qayāmat hai
phuul dīvār par nazar aa.e
ye bhī to aap kī karāmat hai
maiñ ne dekhā jahān-e-fānī meñ
jaisī hasrat thī vaisī hasrat hai
ranj-o-ġham dukh malāl aur ḳhushī
jo bhī hai aap kī badaulat hai
aur koī nahīñ hai baat 'umūd'
bas unheñ dekhne kī 'ādat hai
sha'iri sha'iron ki zinat hai
is liye aap se mohabbat hai
ya'ni ramzan ka mahina bhi
mominon ke liye fazilat hai
kuchh nahin mawara-e-hairat-e-chashm
chashm-e-bina ki bas suhulat hai
zindagi dastan-e-'ishq hai aur
'ishq se zindagi ko rahat hai
aap ko dekh kar tasalli hui
aap ka dekhna qayamat hai
phul diwar par nazar aae
ye bhi to aap ki karamat hai
main ne dekha jahan-e-fani mein
jaisi hasrat thi waisi hasrat hai
ranj-o-gham dukh malal aur KHushi
jo bhi hai aap ki badaulat hai
aur koi nahin hai baat 'umud'
bas unhen dekhne ki 'adat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.