shabash ashk-e-gham koi charcha kiye baghair
shābāsh ashk-e-ġham koī charchā kiye baġhair
kah dī jo baat kahnī thī shikva kiye baġhair
bantī nahīñ hai baat taqāzā kiye baġhair
yā'nī unhīñ se un kī tamanna kiye baġhair
vallāh aur jalvoñ kī baḌh jaa.e ahmiyat
koī rahe jo sāmne pardā kiye baġhair
jaatā huuñ rāh-e-'ishq meñ mardāna-vār maiñ
barbādiyoñ kī koī bhī parvā kiye baġhair
tum ko bhī daad denī paḌe jazb-e-‘ishq kī
mil jaao tum jo mujh ko tamanna kiye baġhair
banda-navāz itnā hai tum se mujhe lagāv
dil māntā nahīñ tumheñ sajda kiye baġhair
'rāfat' kabhī na hogā mukammal junūn-e-‘ishq
tār-e-nafas se har nafas uljhā kiye baġhair
shabash ashk-e-gham koi charcha kiye baghair
kah di jo baat kahni thi shikwa kiye baghair
banti nahin hai baat taqaza kiye baghair
ya'ni unhin se un ki tamanna kiye baghair
wallah aur jalwon ki baDh jae ahmiyat
koi rahe jo samne parda kiye baghair
jata hun rah-e-'ishq mein mardana-war main
barbaadiyon ki koi bhi parwa kiye baghair
tum ko bhi dad deni paDe jazb-e-‘ishq ki
mil jao tum jo mujh ko tamanna kiye baghair
banda-nawaz itna hai tum se mujhe lagaw
dil manta nahin tumhein sajda kiye baghair
'rafat' kabhi na hoga mukammal junun-e-‘ishq
tar-e-nafas se har nafas uljha kiye baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.