shad uftad-e-har-nafas mat puchh
'shād' uftād-e-har-nafas mat pūchh
hazrat-e-qāzī-o-asas mat pūchh
ḳhuun bhī hai rag-e-hamiyyat bhī
kyuuñ nahīñ log Tas se mas mat pūchh
phuul kāñToñ meñ tū ne dekhā hai
mujh se hālāt-e-pesh-o-pas mat pūchh
kyā mirī aarzū se vāqif hai
vo nigāh-e-daqīqa-ras mat pūchh
āshiyān-o-chaman ke dil-dāda
tū kabhī vus.at-e-qafas mat pūchh
chīstāñ hai fareb-e-āzādī
sharh-e-ijmāl ko taras, mat pūchh
qatl kā hukm hī sahī lekin
hai jo us ke gale meñ ras mat pūchh
'shad' uftad-e-har-nafas mat puchh
hazrat-e-qazi-o-asas mat puchh
KHun bhi hai rag-e-hamiyyat bhi
kyun nahin log Tas se mas mat puchh
phul kanTon mein tu ne dekha hai
mujh se haalat-e-pesh-o-pas mat puchh
kya meri aarzu se waqif hai
wo nigah-e-daqiqa-ras mat puchh
aashiyan-o-chaman ke dil-dada
tu kabhi wusat-e-qafas mat puchh
chistan hai fareb-e-azadi
sharh-e-ijmal ko taras, mat puchh
qatl ka hukm hi sahi lekin
hai jo us ke gale mein ras mat puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.