shadan bahut the zist ki taswir dekh kar
shādāñ bahut the ziist kī tasvīr dekh kar
ab ro rahe haiñ ḳhvāb kī tā'bīr dekh kar
āñkhoñ meñ ashk paañv meñ zanjīr dekh kar
vo ḳhud bhī ro paḌe mirī tasvīr dekh kar
ḳhat ke javāb meñ haiñ sitāroñ kī jhalkiyāñ
shāyad vo ro.e haiñ mirī tahrīr dekh kar
donoñ jahāñ kā husn nigāhoñ meñ aa gayā
ab kis ko dekhūñ aap kī tasvīr dekh kar
tum to ġham-e-hayāt kī tasvīr ho 'na'īm'
ab kyā karoge tum koī tasvīr dekh kar
shadan bahut the zist ki taswir dekh kar
ab ro rahe hain KHwab ki ta'bir dekh kar
aankhon mein ashk panw mein zanjir dekh kar
wo KHud bhi ro paDe meri taswir dekh kar
KHat ke jawab mein hain sitaron ki jhalkiyan
shayad wo roe hain meri tahrir dekh kar
donon jahan ka husn nigahon mein aa gaya
ab kis ko dekhun aap ki taswir dekh kar
tum to gham-e-hayat ki taswir ho 'na'im'
ab kya karoge tum koi taswir dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.