Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shadan na ho gar mujh pe kaDa waqt paDa hai

Gopal Mittal

shadan na ho gar mujh pe kaDa waqt paDa hai

Gopal Mittal

MORE BYGopal Mittal

    shādāñ na ho gar mujh pe kaḌā vaqt paḌā hai

    zad meñ hai jis vaqt us se bhī kaḌā hai

    hai dhuup mire sar pe magar bhī mirī jaañ

    girtī huī dīvār ke saa.e meñ khaḌā hai

    kyā shaan hai allāh husain ibn-e-'alī

    sar kaT gayā qad phir bhī harīfoñ se baḌā hai

    ham laash samajh kar jise pheñk aa.e the vo shaḳhs

    chaTTān mānind 'alam ban ke khaḌā hai

    haañ Tuut gayā vo bhī shajar thā jo tanāvar

    kuchh der magar tund havāoñ se laḌā hai

    shadan na ho gar mujh pe kaDa waqt paDa hai

    tu zad mein hai jis waqt ki us se bhi kaDa hai

    hai dhup mere sar pe magar tu bhi meri jaan

    girti hui diwar ke sae mein khaDa hai

    kya shan hai allah husain ibn-e-'ali ki

    sar kaT gaya qad phir bhi harifon se baDa hai

    hum lash samajh kar jise phenk aae the wo shaKHs

    chaTTan ki manind 'alam ban ke khaDa hai

    han Tut gaya wo bhi shajar tha jo tanawar

    kuchh der magar tund hawaon se laDa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now