shadi na karo jhagDon ka saman na rahega
shādī na karo jhagḌoñ kā sāmāñ na rahegā
sāhil pe kabhī ḳhatra-e-tūfāñ na rahegā
duniyā ko fanā hai koī insāñ na rahegā
lekin nahīñ sunte haiñ ki shaitāñ na rahegā
faaqe hoñ to ulfat kā bhī unvāñ na rahegā
jab ho ġham-e-jānāñ ġham-e-daurāñ na rahegā
rāshan kī qasam gar yahī hālat rahī kuchh din
koī bhī kisī ke yahāñ mehmāñ na rahegā
bad-ma.āsh ye kahte the jo āzād huā hind
hogī na sazā ek bhī zindāñ na rahegā
bantī yūñhī tāroñ se jo chuntā rahā kāñTe
sahrā meñ koī ḳhār-e-muġhīlāñ na rahegā
bulvāyā rafū-gar ko abhī chaak kī hai fikr
tab aa.egā jab paas garebāñ na rahegā
sin Dhalte hī sab baaz ke pinjroñ se uḌeñge
lamchhar na rahegā koī Tuyyāñ na rahegā
mardoñ ke the marghaT jahāñ haiñ zindoñ ke bangle
sunte haiñ koī gor-e-ġharībāñ na rahegā
haañ poplā muñh āshiq-e-nāshād ko dekho
phir zehn meñ bhī chit koī Tuyyāñ na rahegā
shadi na karo jhagDon ka saman na rahega
sahil pe kabhi KHatra-e-tufan na rahega
duniya ko fana hai koi insan na rahega
lekin nahin sunte hain ki shaitan na rahega
faqe hon to ulfat ka bhi unwan na rahega
jab ho gham-e-jaanan gham-e-dauran na rahega
rashan ki qasam gar yahi haalat rahi kuchh din
koi bhi kisi ke yahan mehman na rahega
bad-maash ye kahte the jo aazad hua hind
hogi na saza ek bhi zindan na rahega
banti yunhi taron se jo chunta raha kanTe
sahra mein koi KHar-e-mughilan na rahega
bulwaya rafu-gar ko abhi chaak ki hai fikr
tab aaega jab pas gareban na rahega
sin Dhalte hi sab baz ke pinjron se uDenge
lamchhar na rahega koi Tuyyan na rahega
mardon ke the marghaT jahan hain zindon ke bangle
sunte hain koi gor-e-ghariban na rahega
han popla munh aashiq-e-nashad ko dekho
phir zehn mein bhi chit koi Tuyyan na rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.