Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaeri mazhar-e-ahwal-e-darun hai yun hai

Suleman Khumar

shaeri mazhar-e-ahwal-e-darun hai yun hai

Suleman Khumar

MORE BYSuleman Khumar

    shā.erī maz.har-e-ahvāl-e-darūñ hai yuuñ hai

    ek ik sher batā detā hai yuuñ hai yuuñ hai

    ik tirī yaad detī hai mire dil ko qarār

    ik tirā naam ab vaj.h-e-sukūñ hai yuuñ hai

    ḳhushk sahrā bhī nazar aatā hai gulzār-e-iram

    hamrahī ye tirī saarā fusūñ hai yuuñ hai

    ishq har ik se ġhulāmī adā māñgtā hai

    us ke darbār meñ jo sar hai nigūñ hai yuuñ hai

    ḳhaak chhāneñge chalo ham bhī bayābānoñ

    jab yahī sheva-e-arbāb-e-junūñ hai yuuñ hai

    hāl-e-dil sun ke mirā chup na raho kuchh to kaho

    ḳhāmushī ne.amat-e-goyā.ī ḳhuuñ hai yuuñ hai

    jab bhī mahfil meñ ġhazal apnī sunātā hai 'ḳhumār'

    tabsire hote haiñ har sher pe yuuñ hai yuuñ hai

    shaeri mazhar-e-ahwal-e-darun hai yun hai

    ek ek sher bata deta hai yun hai yun hai

    ek teri yaad hi deti hai mere dil ko qarar

    ek tera nam hi ab wajh-e-sukun hai yun hai

    KHushk sahra bhi nazar aata hai gulzar-e-iram

    hamrahi ka ye teri sara fusun hai yun hai

    ishq har ek se ghulami ki ada mangta hai

    us ke darbar mein jo sar hai nigun hai yun hai

    KHak chhanenge chalo hum bhi bayabanon ki

    jab yahi shewa-e-arbab-e-junun hai yun hai

    haal-e-dil sun ke mera chup na raho kuchh to kaho

    KHamushi neamat-e-goyai ka KHun hai yun hai

    jab bhi mahfil mein ghazal apni sunata hai 'KHumar'

    tabsire hote hain har sher pe yun hai yun hai

    RECITATIONS

    Suleman Khumar

    Suleman Khumar,

    Suleman Khumar

    shaeri mazhar-e-ahwal-e-darun hai yun hai Suleman Khumar

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now