shaeri mujhko ajab haal mein le jati hai
shā.erī mujh ko ajab haal meñ le jaatī hai
kabhī mātam kabhī dhammāl meñ le jaatī hai
meñ kisī chashm-e-nigah-dār kī had meñ huuñ ki jo
mujh ko vāpas mire ahvāl meñ le jaatī hai
merī ḳhvāhish baḌī tafsīl-talab hai lekin
terī sūrat mujhe ijmāl meñ le jaatī hai
maiñ bichhātā huuñ musallā sar-e-mehrāb-e-niyāz
phir ibādat mujhe pātāl meñ le jaatī hai
maiñ to suntā hī nahīñ huuñ koī guftār-e-ḳhirad
ye kabhī qiil kabhī qaal meñ le jaatī hai
raas aa.ī na mujhe ā.ina-ḳhāne kī chamak
ye mirī shakl ko ashkāl meñ le jaatī hai
ḳhud-farāmoshī kī ik lahr kahīñ se aa kar
ek do baar mujhe saal meñ le jaatī hai
is liye sotā nahīñ maiñ ki nigār-e-duniyā
ḳhema-e-ḳhvāb se pinDāl meñ le jaatī hai
shaeri mujh ko ajab haal mein le jati hai
kabhi matam kabhi dhammal mein le jati hai
mein kisi chashm-e-nigah-dar ki had mein hun ki jo
mujh ko wapas mere ahwal mein le jati hai
meri KHwahish baDi tafsil-talab hai lekin
teri surat mujhe ijmal mein le jati hai
main bichhata hun musalla sar-e-mehrab-e-niyaz
phir ibaadat mujhe patal mein le jati hai
main to sunta hi nahin hun koi guftar-e-KHirad
ye kabhi qil kabhi qal mein le jati hai
ras aai na mujhe aaina-KHane ki chamak
ye meri shakl ko ashkal mein le jati hai
KHud-faramoshi ki ek lahr kahin se aa kar
ek do bar mujhe sal mein le jati hai
is liye sota nahin main ki nigar-e-duniya
KHema-e-KHwab se pinDal mein le jati hai
- Book : Adab-o-Saqafat International (Pg. 102)
- Author : Shakeelsarosh
- Publication : Misal Publishers Raheem Center Press Market Ameen Pur Bazar, Faisalbad, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.