Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shah aa jaen ya ghulam aa jaen

Tahir Saood Kiratpuri

shah aa jaen ya ghulam aa jaen

Tahir Saood Kiratpuri

MORE BYTahir Saood Kiratpuri

    shaah aa jaa.eñ ġhulām aa jaa.eñ

    ḳhair-maqdam hai ḳhās-o-'ām aa jaa.eñ

    ruuh parvāz karne vaalī hai

    sust-raftār tez-gām aa jaa.eñ

    merā juutā bhī nahīñ sakte

    dām-gar jo bhī le ke daam aa jaa.eñ

    ḳhud se maiñ mutma.in huuñ izrā.īl

    sub.h aa jaa.eñ chāhe shaam aa jaa.eñ

    gul charāġhoñ se raushnī phūTe

    ḳhvāb meñ sāhab-e-salām aa jaa.eñ

    is se pahle ki bol uThe tasvīr

    jald-az-jald ḳhush-kalām aa jaa.eñ

    ashk mahfūz kar ke rakhtā huuñ

    jaane ye kab davā meñ kaam aa jaa.eñ

    shah aa jaen ya ghulam aa jaen

    KHair-maqdam hai KHas-o-'am aa jaen

    ruh parwaz karne wali hai

    sust-raftar tez-gam aa jaen

    mera juta bhi pa nahin sakte

    dam-gar jo bhi le ke dam aa jaen

    KHud se main mutmain hun izrail

    subh aa jaen chahe sham aa jaen

    gul charaghon se raushni phuTe

    KHwab mein sahab-e-salam aa jaen

    is se pahle ki bol uThe taswir

    jald-az-jald KHush-kalam aa jaen

    ashk mahfuz kar ke rakhta hun

    jaane ye kab dawa mein kaam aa jaen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now