shaiba hijrat ka ab mere irade mein nahin
shaiba hijrat ka ab mere irade mein nahin
Maqsood Anwar Maqsood
MORE BYMaqsood Anwar Maqsood
shā.iba hijrat kā ab mere irāde meñ nahīñ
dūsrī ansār kī bastī bhī naqshe meñ nahīñ
ishq ko denā paḌā hai apnī sāñsoñ kā ḳhirāj
ye bhī tai hai is binā par maiñ ḳhasāre meñ nahīñ
ḳhush-gumāñ haiñ TuuTe phūTe log bhī is shahr meñ
kaun hai vo jo dabā ḳhud apne malbe meñ nahīñ
ye alamiya hai chamakte jagmagāte daur kā
raushnī hote hue bhī ham ujāle meñ nahīñ
ho nahīñ saktī anā ik ḳhāksārī se buland
boriye meñ jo masarrat hai vo sofe meñ nahīñ
chand lamhoñ meñ huā kartā hai tai lambā safar
kyā hai vo raftār jo sikkoñ ke pahiye meñ nahīñ
tū ne kyā ne.amat atā kī hai dil-e-'maqsūd' ko
mujh meñ hai jo dard vo koī farishte meñ nahīñ
shaiba hijrat ka ab mere irade mein nahin
dusri ansar ki basti bhi naqshe mein nahin
ishq ko dena paDa hai apni sanson ka KHiraj
ye bhi tai hai is bina par main KHasare mein nahin
KHush-guman hain TuTe phuTe log bhi is shahr mein
kaun hai wo jo daba KHud apne malbe mein nahin
ye alamiya hai chamakte jagmagate daur ka
raushni hote hue bhi hum ujale mein nahin
ho nahin sakti ana ek KHaksari se buland
boriye mein jo masarrat hai wo sofe mein nahin
chand lamhon mein hua karta hai tai lamba safar
kya hai wo raftar jo sikkon ke pahiye mein nahin
tu ne kya neamat ata ki hai dil-e-'maqsud' ko
mujh mein hai jo dard wo koi farishte mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.