shair hue to kya hue ehsan hi rahe
shā.ir hue to kyā hue 'ehsān' hī rahe
'mirzā'-o-'mīr' ban na sake ḳhaan hī rahe
imkāñ ke dā.ere ko jo vus.at na de sake
apne hudūd-e-zāt kā irfān hī rahe
jab dil ho muztarib to kahāñ tak ḳhudī kī laaj
ai nāz-e-husn aaj tirī aan hī rahe
aahaT kisī ke paañv kī aa.ī na sub.h tak
ham dil kī dhaḌkanoñ ke nigahbān hī rahe
pahuñchā na dast-e-shauq jo dāmān-e-yār tak
be-shaġhl kyoñ ho apnā garebān hī rahe
hai iltijā-e-shauq meñ bhī tantana vahī
'ehsān' ishq karke bhī 'ehsān' hī rahe
shair hue to kya hue 'ehsan' hi rahe
'mirza'-o-'mir' ban na sake KHan hi rahe
imkan ke daere ko jo wusat na de sake
apne hudud-e-zat ka irfan hi rahe
jab dil ho muztarib to kahan tak KHudi ki laj
ai naz-e-husn aaj teri aan hi rahe
aahaT kisi ke panw ki aai na subh tak
hum dil ki dhaDkanon ke nigahban hi rahe
pahuncha na dast-e-shauq jo daman-e-yar tak
be-shaghl kyon ho apna gareban hi rahe
hai iltija-e-shauq mein bhi tantana wahi
'ehsan' ishq karke bhi 'ehsan' hi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.