shairi mein nai jihat rakkhi
shā.irī meñ na.ī jihat rakkhī
maiñ ne apnī alag luġhat rakkhī
koī ta.amīr kis tarah hotī
saarī buniyād thī ġhalat rakkhī
mujh ko baḳhshā nahīñ kamāl koī
us ne mujh meñ yahī sifat rakkhī
maal ḳhairāt kar diyā saarā
sirf kashkol meñ bachat rakkhī
us ne chāhā ġhulām ban jā.ūñ
sāmne mere saltanat rakkhī
pahle pahlī parat bichā.ī aur
aur phir dūsrī parat rakkhī
thak gayā maiñ to jhāñk kar dekhā
mujh meñ chalne kī thī sakat rakkhī
shairi mein nai jihat rakkhi
main ne apni alag lughat rakkhi
koi tamir kis tarah hoti
sari buniyaad thi ghalat rakkhi
mujh ko baKHsha nahin kamal koi
us ne mujh mein yahi sifat rakkhi
mal KHairaat kar diya sara
sirf kashkol mein bachat rakkhi
us ne chaha ghulam ban jaun
samne mere saltanat rakkhi
pahle pahli parat bichai aur
aur phir dusri parat rakkhi
thak gaya main to jhank kar dekha
mujh mein chalne ki thi sakat rakkhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.