shairi ya lan-tarani hai to hai
shā.irī yā lan-tarānī hai to hai
ye rivāyat ḳhāndānī hai to hai
lāzmī thā kuchh savāloñ kā javāb
chaliye phir ye bad-zabānī hai to hai
ham to ik tasvīr un ko de chuke
ab bhale ye mehrbānī hai to hai
ishq koī bāñTne kī shai nahīñ
sāmne phir koī raanī hai to hai
kaun se naḳhre uThātī thī mirī
muñh phulā.e zindagānī hai to hai
shairi ya lan-tarani hai to hai
ye riwayat KHandani hai to hai
lazmi tha kuchh sawalon ka jawab
chaliye phir ye bad-zabani hai to hai
hum to ek taswir un ko de chuke
ab bhale ye mehrbani hai to hai
ishq koi banTne ki shai nahin
samne phir koi rani hai to hai
kaun se naKHre uThati thi meri
munh phulae zindagani hai to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.