Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shairon ko ab qasidon ka sila deta hai kaun

Wahid Ansari Burhanpur

shairon ko ab qasidon ka sila deta hai kaun

Wahid Ansari Burhanpur

MORE BYWahid Ansari Burhanpur

    shā.iroñ ko ab qasīdoñ sila detā hai kaun

    bas duā.eñ dete haiñ sab rupya detā hai kaun

    ye chhalāvā hai koī bhuut terī yaad

    raat ke pichhle pahar mujh ko sadā detā hai kaun

    maan hai maiñ ne mannat ik valī ik piir se

    dekhnā hai mujh ko beTā chāñd detā hai kaun

    chāplūsī phaTke-bāzī se milī manzil mujhe

    itnī āsānī se varna rāsta detā hai kaun

    maiñ to piitā nahīñ huuñ hosh meñ rah kar sharāb

    maiñ huuñ hairāñ ḳhvāb-e-ġhaflat meñ pilā detā hai kaun

    bechte haiñ shaiḳh sāhib āyateñ qur.ān

    qabr par ujrat baġhair ab fātiha detā hai kaun

    arz hai ḳhvāhish-e-ahbāb par maiñ ne ġhazal

    dekhiye 'vāhid' mujhe ab nāshta detā hai kaun

    shairon ko ab qasidon ka sila deta hai kaun

    bas duaen dete hain sab rupya deta hai kaun

    ye chhalawa hai koi ya bhut teri yaad ka

    raat ke pichhle pahar mujh ko sada deta hai kaun

    man li hai main ne mannat ek wali ek pir se

    dekhna hai mujh ko beTa chand sa deta hai kaun

    chaplusi phaTke-bazi se mili manzil mujhe

    itni aasani se warna rasta deta hai kaun

    main to pita hi nahin hun hosh mein rah kar sharab

    main hun hairan KHwab-e-ghaflat mein pila deta hai kaun

    bechte hain shaiKH sahib aayaten quran ki

    qabr par ujrat baghair ab fatiha deta hai kaun

    arz ki hai KHwahish-e-ahbab par main ne ghazal

    dekhiye 'wahid' mujhe ab nashta deta hai kaun

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now