shaKH-dar-shaKH agar dhup ke pahre honge
shāḳh-dar-shāḳh agar dhuup ke pahre hoñge
kisī patte ke kahāñ ḳhvāb sunahre hoñge
jab kabhī dard kī chīḳhoñ se fazā gūñjegī
shahr kī bhiiḌ meñ ham log bhī bahre hoñge
ik bhayānak sī fazā aap ne dekhī hogī
ajnabī shahr meñ jab raat ko Thahre hoñge
vaqt saa.e kī tarah mere ta.āqub meñ hai
maiñ jahāñ jā.ūñgā āfāt ke pahre hoñge
hai ajab lazzat-e-tāsīr havā meñ shāmil
zaḳhm phūloñ ke abhī aur bhī gahre hoñge
khol hī degī zabāñ phuul kī pattī 'ātish'
champa.ī dhuup se jab peḌ sunahre hoñge
shaKH-dar-shaKH agar dhup ke pahre honge
kisi patte ke kahan KHwab sunahre honge
jab kabhi dard ki chiKHon se faza gunjegi
shahr ki bhiD mein hum log bhi bahre honge
ek bhayanak si faza aap ne dekhi hogi
ajnabi shahr mein jab raat ko Thahre honge
waqt sae ki tarah mere taaqub mein hai
main jahan jaunga aafat ke pahre honge
hai ajab lazzat-e-tasir hawa mein shamil
zaKHm phulon ke abhi aur bhi gahre honge
khol hi degi zaban phul ki patti 'atish'
champai dhup se jab peD sunahre honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.