shaKH dekho ki tum shajar dekho
shāḳh dekho ki tum shajar dekho
is gulistāñ ko ik nazar dekho
kho gayā jo navāh-e-jāñ meñ kahīñ
rāsta us kā umr-bhar dekho
tum safar-dar-safar milo us se
aur karāñ-tā-karāñ safar dekho
kaan bhar tum suno sadā-e-jaras
aañkh bhar chāñd kā safar dekho
yuuñ hī ginte raho sitāra-e-shab
raqs shabnam kā rāt-bhar dekho
ik lahar muskurā ke kahtī hai
mauj-e-dariyā ko be-ḳhabar dekho
mil hī jā.eñge dast-o-pā bhī kahīñ
pahle niklā jo hai vo sar dekho
gum hue jā rahe ho tum 'ajmal'
kabhī apne ko khol kar dekho
shaKH dekho ki tum shajar dekho
is gulistan ko ek nazar dekho
kho gaya jo nawah-e-jaan mein kahin
rasta us ka umr-bhar dekho
tum safar-dar-safar milo us se
aur karan-ta-karan safar dekho
kan bhar tum suno sada-e-jaras
aankh bhar chand ka safar dekho
yun hi ginte raho sitara-e-shab
raqs shabnam ka raat-bhar dekho
ek lahar muskura ke kahti hai
mauj-e-dariya ko be-KHabar dekho
mil hi jaenge dast-o-pa bhi kahin
pahle nikla jo hai wo sar dekho
gum hue ja rahe ho tum 'ajmal'
kabhi apne ko khol kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.