Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaKH-e-arman ki wahi be-sabri aaj bhi hai

Ahmad Azimabadi

shaKH-e-arman ki wahi be-sabri aaj bhi hai

Ahmad Azimabadi

MORE BYAhmad Azimabadi

    shāḳh-e-armāñ vahī be-sabrī aaj bhī hai

    mojib-e-girya-e-shām-o-saharī aaj bhī hai

    vahī ā.īna-ba-kaf dīda-varī aaj bhī hai

    un meñ pahle tarah ḳhud-nigarī aaj bhī hai

    sañg-bāroñ ke liye dard-sarī aaj bhī hai

    kal garāñ thī jo mirī shīsha-garī aaj bhī hai

    aaj bhī morid-e-ilzām hai mā'sūm nigāh

    jurm ilzām se kal bhī thā barī aaj bhī hai

    baat dushvārī-e-manzil na.ī baat nahīñ

    raah pahle bhī thī kāñToñ se bharī aaj bhī hai

    shaKH-e-arman ki wahi be-sabri aaj bhi hai

    mojib-e-girya-e-sham-o-sahari aaj bhi hai

    wahi aaina-ba-kaf dida-wari aaj bhi hai

    un mein pahle ki tarah KHud-nigari aaj bhi hai

    sang-baron ke liye dard-sari aaj bhi hai

    kal garan thi jo meri shisha-gari aaj bhi hai

    aaj bhi morid-e-ilzam hai ma'sum nigah

    jurm ilzam se kal bhi tha bari aaj bhi hai

    baat dushwari-e-manzil ki nai baat nahin

    rah pahle bhi thi kanTon se bhari aaj bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now