shaKH-e-buland-e-baam se ek din utar ke dekh
shāḳh-e-buland-e-bām se ik din utar ke dekh
ambār-e-barg-o-bār-e-ḳhizāñ meñ bikhar ke dekh
miTTī ke sādgī meñ alag sā jamāl hai
rañgoñ kī nik.hatoñ kī qabā taar karke dekh
imkāñ kī vus.atoñ ke ufuq zaar khul ga.e
par tolne lage haiñ parinde sahar ke dekh
zulmat kī kashtiyoñ ko bhañvar hai ye raushnī
dar khul rahe haiñ dānish-o-ilm-o-ḳhabar ke dekh
kyā jaane ġham kī aañch kā partav kahāñ paḌe
añgḌā.ī le rahe haiñ hayūle sharar ke dekh
sañgīn hādsoñ kī hikāyat tavīl hai
koh-e-girāñ kī baat na kar zaḳhm sar ke dekh
apnī basāratoñ ko jasārat kī aañch de
manzar isī nazar se jahān-e-digar ke dekh
pindār-e-sar-nigūñ kā junūñ mo'atabar nahīñ
bujhte hue charāġh kī lau tez karke dekh
'akbar' nidā-e-shab ko navā-e-sahar samajh
lau de rahe haiñ hausle ahl-e-nazar ke dekh
shaKH-e-buland-e-baam se ek din utar ke dekh
ambar-e-barg-o-bar-e-KHizan mein bikhar ke dekh
miTTi ke sadgi mein alag sa jamal hai
rangon ki nikhaton ki qaba tar karke dekh
imkan ki wusaton ke ufuq zar khul gae
par tolne lage hain parinde sahar ke dekh
zulmat ki kashtiyon ko bhanwar hai ye raushni
dar khul rahe hain danish-o-ilm-o-KHabar ke dekh
kya jaane gham ki aanch ka partaw kahan paDe
angDai le rahe hain hayule sharar ke dekh
sangin hadson ki hikayat tawil hai
koh-e-giran ki baat na kar zaKHm sar ke dekh
apni basaraton ko jasarat ki aanch de
manzar isi nazar se jahan-e-digar ke dekh
pindar-e-sar-nigun ka junun mo'atabar nahin
bujhte hue charagh ki lau tez karke dekh
'akbar' nida-e-shab ko nawa-e-sahar samajh
lau de rahe hain hausle ahl-e-nazar ke dekh
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 178)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.