shaKH-e-gul chhin len gul-e-tar se
shāḳh-e-gul chhīn leñ gul-e-tar se
aadmī ho ga.e haiñ patthar se
vo kahāñ aur ham kahāñ lekin
āñkheñ ab tak haTī nahīñ dar se
log us paar jā chuke aur ham
shikva karte rahe muqaddar se
jis meñ lahje kī kaaT ho shāmil
lafz vo kam nahīñ haiñ ḳhanjar se
hosh phir bhī hameñ nahīñ aayā
laakh tūfāñ guzar ga.e sar se
ye magar kam-savād kyā jāneñ
ashk bhī kam nahīñ samundar se
ye mirā shahr bhī 'ajab hai 'sirāj'
bujhte jaate haiñ log andar se
shaKH-e-gul chhin len gul-e-tar se
aadmi ho gae hain patthar se
wo kahan aur hum kahan lekin
aankhen ab tak haTi nahin dar se
log us par ja chuke aur hum
shikwa karte rahe muqaddar se
jis mein lahje ki kaT ho shamil
lafz wo kam nahin hain KHanjar se
hosh phir bhi hamein nahin aaya
lakh tufan guzar gae sar se
ye magar kam-sawad kya jaanen
ashk bhi kam nahin samundar se
ye mera shahr bhi 'ajab hai 'siraj'
bujhte jate hain log andar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.