shaKH-e-gulshan pe tha jo Thikana gaya
shāḳh-e-gulshan pe thā jo Thikāna gayā
us parinde kā to āb-o-dāna gayā
āñdhiyoñ kī hai zad par gharauñde yahāñ
ya.anī hamdardiyoñ kā zamāna gayā
zard mausam kī aamad ne badlā samāñ
sabza-e-gulsitāñ kā zamāna gayā
merī hasrat ne oḌhī jo lafzī qabā
mere ḳhāmosh lab kā tarāna gayā
sham-e-bazm-e-tarab raat tanhā rahī
koī parvāna āḳhir kyuuñ aa na gayā
yuuñ huī shāḳh se hijrat-e-tā.irāñ
marsiya rah gayā chahchahānā gayā
yuuñ na kamzor rishte kī buniyād thī
aate jaate yuuñ hī aanā jaanā gayā
shaKH-e-gulshan pe tha jo Thikana gaya
us parinde ka to aab-o-dana gaya
aandhiyon ki hai zad par gharaunde yahan
yani hamdardiyon ka zamana gaya
zard mausam ki aamad ne badla saman
sabza-e-gulsitan ka zamana gaya
meri hasrat ne oDhi jo lafzi qaba
mere KHamosh lab ka tarana gaya
sham-e-bazm-e-tarab raat tanha rahi
koi parwana aaKHir kyun aa na gaya
yun hui shaKH se hijrat-e-tairan
marsiya rah gaya chahchahana gaya
yun na kamzor rishte ki buniyaad thi
aate jate yun hi aana jaana gaya
- Book : Dar Haqeeqat (Pg. 28)
- Author : Azhar Shams
- Publication : Rujhaan Publications, Allahabad (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.