shaKH-e-jazbaat pe naghmat ka manzar KHamosh
shaKH-e-jazbaat pe naghmat ka manzar KHamosh
Aulad-e-Rasool Qudsi
MORE BYAulad-e-Rasool Qudsi
shāḳh-e-jazbāt pe naġhmāt kā manzar ḳhāmosh
ġham kī āġhosh meñ armāñ kā kabūtar ḳhāmosh
niiñd rotī rahī sunsān khañDar meñ chhup kar
qasr-e-shāhī kā hasīñ maḳhmalīñ bistar ḳhāmosh
surḳh āñdhī chalī is baar halākat kī 'ajab
ġharq amvāj huiiñ aur samundar ḳhāmosh
sikka baiThā thā us insāñ kī vafā kā aisā
shirk behosh thā aur zulm kā lashkar ḳhāmosh
fileñ dard kī bikhrī thiiñ bhare chehre meñ
aur āñkhoñ meñ mirī ashk kā daftar ḳhāmosh
bahte jaate haiñ yahāñ chāroñ taraf lāf-o-gazāf
fan ke maidān meñ pākīza suḳhanvar ḳhāmosh
'qudsī' bāzīcha-e-atfāl thiiñ aaheñ merī
aur thā dahr tamāshā.ī muqaddar ḳhāmosh
shaKH-e-jazbaat pe naghmat ka manzar KHamosh
gham ki aaghosh mein arman ka kabutar KHamosh
nind roti rahi sunsan khanDar mein chhup kar
qasr-e-shahi ka hasin maKHmalin bistar KHamosh
surKH aandhi chali is bar halakat ki 'ajab
gharq amwaj huin aur samundar KHamosh
sikka baiTha tha us insan ki wafa ka aisa
shirk behosh tha aur zulm ka lashkar KHamosh
filen dard ki bikhri thin bhare chehre mein
aur aankhon mein meri ashk ka daftar KHamosh
bahte jate hain yahan chaaron taraf laf-o-gazaf
fan ke maidan mein pakiza suKHanwar KHamosh
'qudsi' bazicha-e-atfal thin aahen meri
aur tha dahr tamashai muqaddar KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.