shaKH-e-lab par gul-e-dua rakhna
shāḳh-e-lab par gul-e-duā rakhnā
aur ḳhushbū se rābta rakhnā
ye ruteñ kab Thaharne vaalī haiñ
in se ummīd koī kyā rakhnā
aane vaalā hai vo sitāra-badan
dar-e-ehsās ko khulā rakhnā
vaqt kuchh kuchh muvāfaqat meñ hai
kaam kal par na tum uThā rakhnā
rāstoñ meñ bahut añdherā hai
saath ehsās kā diyā rakhnā
ḳhud samajh jāoge ki tum kyā ho
sāmne apne aa.ina rakhnā
is se ummīd-e-sā.ebānī hai
is shajar ko harā-bharā rakhnā
rahnumā.ī ke vāste hamrāh
merī zanjīr naqsh-e-pā rakhnā
chand hī gaam hai jahān-e-falak
'nūr' bas thoḌā hausla rakhnā
shaKH-e-lab par gul-e-dua rakhna
aur KHushbu se rabta rakhna
ye ruten kab Thaharne wali hain
in se ummid koi kya rakhna
aane wala hai wo sitara-badan
dar-e-ehsas ko khula rakhna
waqt kuchh kuchh muwafaqat mein hai
kaam kal par na tum uTha rakhna
raston mein bahut andhera hai
sath ehsas ka diya rakhna
KHud samajh jaoge ki tum kya ho
samne apne aaina rakhna
is se ummid-e-saebani hai
is shajar ko hara-bhara rakhna
rahnumai ke waste hamrah
meri zanjir naqsh-e-pa rakhna
chand hi gam hai jahan-e-falak
'nur' bas thoDa hausla rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.