shaKH-e-taza pe ye jafa na karo
shāḳh-e-tāza pe ye jafā na karo
ḳhaar se gul kabhī judā na karo
tum kisī kā agar bhalā na karo
kam se kam ye karo burā na karo
ġhairat-e-ishq kā taqāzā hai
ghuT ke mar jaao iltijā na karo
dostī kā koī savāl nahīñ
dushmanī meñ bhī badduā na karo
jab bhī niklo talāsh-e-manzil meñ
log kuchh bhī kaheñ sunā na karo
tan se sar kaaT lo ye behtar hai
dosto dil se dil judā na karo
vus.at-e-fikr-o-fan na ho jis meñ
'zākir' aisī ġhazal kahā na karo
shaKH-e-taza pe ye jafa na karo
KHar se gul kabhi juda na karo
tum kisi ka agar bhala na karo
kam se kam ye karo bura na karo
ghairat-e-ishq ka taqaza hai
ghuT ke mar jao iltija na karo
dosti ka koi sawal nahin
dushmani mein bhi baddua na karo
jab bhi niklo talash-e-manzil mein
log kuchh bhi kahen suna na karo
tan se sar kaT lo ye behtar hai
dosto dil se dil juda na karo
wusat-e-fikr-o-fan na ho jis mein
'zakir' aisi ghazal kaha na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.