shaKH-e-umid-e-wasl KHizan-dida ho gai
shāḳh-e-umīd-e-vasl ḳhizāñ-dīda ho ga.ī
aur aañkh apne sabr kī ranjīda ho ga.ī
misl-e-charāġh jaltā rahā raah meñ tirī
jab din chaḌhā to lau mirī bosīda ho ga.ī
jo lafz kī fasīl meñ bāteñ na aa.ī thiiñ
tīnat mirī unhī se to sanjīda ho ga.ī
sail-e-iram thamā huā hai chashm meñ mirī
Dartā huuñ gar fasīl ye larzīda ho ga.ī
jab se hai dekhā us gul-e-andām ko 'ahad'
zaat apnī mahv-e-'ālam-e-ḳhvābīda ho ga.ī
shaKH-e-umid-e-wasl KHizan-dida ho gai
aur aankh apne sabr ki ranjida ho gai
misl-e-charagh jalta raha rah mein teri
jab din chaDha to lau meri bosida ho gai
jo lafz ki fasil mein baaten na aai thin
tinat meri unhi se to sanjida ho gai
sail-e-iram thama hua hai chashm mein meri
Darta hun gar fasil ye larzida ho gai
jab se hai dekha us gul-e-andam ko 'ahad'
zat apni mahw-e-'alam-e-KHwabida ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.