shaKH par baiTha ek parinda tha
shāḳh par baiThā ik parinda thā
maiñ jise apnā ḳhvāb samjhā thā
do ghaḌī ko vo paas Thahrā thā
kaun jaane vo shaḳhs kaisā thā
dekh āñgan meñ tere chamkā hai
merī qismat kā jo sitāra thā
aaj us ne bhī ḳhud-kushī kar lī
jis ko marne se ḳhauf aatā thā
ghul ga.ī saarī talḳhī lahje kī
chaa.e kā zā.iqa to mīThā thā
shaKH par baiTha ek parinda tha
main jise apna KHwab samjha tha
do ghaDi ko wo pas Thahra tha
kaun jaane wo shaKHs kaisa tha
dekh aangan mein tere chamka hai
meri qismat ka jo sitara tha
aaj us ne bhi KHud-kushi kar li
jis ko marne se KHauf aata tha
ghul gai sari talKHi lahje ki
chae ka zaiqa to miTha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.