shaKH par phul khil gae hain na
shāḳh par phuul khil ga.e haiñ nā
tum ko paiġhām mil ga.e haiñ nā
ek āvāz-e-haq uThī dekhā
aur aivān hil ga.e haiñ nā
vo to muñh meñ zabān rakhte the
un ke bhī hoñT sil ga.e haiñ nā
tum nagīna samajh rahe the use
kāñch se haath chhil ga.e haiñ nā
jo jahāñ hai vahāñ nahīñ miltā
log markaz se hil ga.e haiñ nā
shaKH par phul khil gae hain na
tum ko paigham mil gae hain na
ek aawaz-e-haq uThi dekha
aur aiwan hil gae hain na
wo to munh mein zaban rakhte the
un ke bhi honT sil gae hain na
tum nagina samajh rahe the use
kanch se hath chhil gae hain na
jo jahan hai wahan nahin milta
log markaz se hil gae hain na
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 649)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.