shaKH par tair nahin mahw-e-fughan baiTha hua
shāḳh par taa.ir nahīñ mahv-e-fuġhāñ baiThā huā
hai koī āshiq sar-e-fasl-e-ḳhizāñ baiThā huā
mai-kade meñ nisf shab tishna-dahāñ baiThā huā
muztarib masrūf-e-yād-e-raftagāñ baiThā huā
ilm rakhtā huuñ vahāñ kā maiñ yahāñ baiThā huā
kaun hai aql-o-ḳhirad ke darmiyāñ baiThā huā
be-sukūñ afsurda-dil be-āstāñ baiThā huā
kar rahā hai vaqt apnā rā.egāñ baiThā huā
sabr kī talqīn paḌhtā hai ḳhud apnī laash par
dil ke qabristān meñ ik naujavāñ baiThā huā
apnā lahja apnī bāteñ apnā andāz-e-suḳhan
kar rahā hai dāstān-e-ġham bayāñ baiThā huā
naqsh hai paanī pe aks-e-paikar-e-shams-o-qamar
ham ne dekhā hai zamīñ pe āsmāñ baiThā huā
maslahat kī teġh se apnī zabāneñ kaaT kar
har bashar apnī jagah hai be-zabāñ baiThā huā
haif hai ḳhasta-dilī pe 'mahvar'-e-ranj-o-alam
vaa.e ho hañstā rahā pīr-e-muġhāñ baiThā thā
shaKH par tair nahin mahw-e-fughan baiTha hua
hai koi aashiq sar-e-fasl-e-KHizan baiTha hua
mai-kade mein nisf shab tishna-dahan baiTha hua
muztarib masruf-e-yaad-e-raftagan baiTha hua
ilm rakhta hun wahan ka main yahan baiTha hua
kaun hai aql-o-KHirad ke darmiyan baiTha hua
be-sukun afsurda-dil be-astan baiTha hua
kar raha hai waqt apna raegan baiTha hua
sabr ki talqin paDhta hai KHud apni lash par
dil ke qabristan mein ek naujawan baiTha hua
apna lahja apni baaten apna andaz-e-suKHan
kar raha hai dastan-e-gham bayan baiTha hua
naqsh hai pani pe aks-e-paikar-e-shams-o-qamar
hum ne dekha hai zamin pe aasman baiTha hua
maslahat ki tegh se apni zabanen kaT kar
har bashar apni jagah hai be-zaban baiTha hua
haif hai KHasta-dili pe 'mahwar'-e-ranj-o-alam
wae ho hansta raha pir-e-mughan baiTha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.