shaKH patton ko thapak kar banh mein gahne lagi
shaKH patton ko thapak kar banh mein gahne lagi
Ghyanender Aggarwal
MORE BYGhyanender Aggarwal
shāḳh pattoñ ko thapak kar baañh meñ gahne lagī
dil kī āñkhoñ se shahd kī ik nadī bahne lagī
lamha lamha jo bahut bechain thā ḳhush ho gayā
dard kī dīvār apne aap hī Dhahne lagī
jo nazar tanhā khaḌī thī vaqt ke dālān meñ
phir na.e ehsās kī parchhā.iyāñ pahne lagī
pyaas thī ḳhud.dār is ne haath phailā.e nahīñ
muskurā kar ābshāroñ ke sitam sahne lagī
ḳhud-ba-ḳhud likhne lage duniyā ke qissa-go sabhī
har qalam phir se na.e andāz meñ rahne lagī
mil ga.e to mil hī leñge is safar kā kyā pata
is baḌe qālīn se āvārgī kahne lagī
shaKH patton ko thapak kar banh mein gahne lagi
dil ki aankhon se shahd ki ek nadi bahne lagi
lamha lamha jo bahut bechain tha KHush ho gaya
dard ki diwar apne aap hi Dhahne lagi
jo nazar tanha khaDi thi waqt ke dalan mein
phir nae ehsas ki parchhaiyan pahne lagi
pyas thi KHuddar is ne hath phailae nahin
muskura kar aabshaaron ke sitam sahne lagi
KHud-ba-KHud likhne lage duniya ke qissa-go sabhi
har qalam phir se nae andaz mein rahne lagi
mil gae to mil hi lenge is safar ka kya pata
is baDe qalin se aawargi kahne lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.