shaKH se phul juda karte ho kya karte ho
shāḳh se phuul judā karte ho kyā karte ho
phir bahāroñ kī duā karte ho kyā karte ho
jab ye mālūm hai har vaqt duā dete haiñ
aise logoñ se vafā karte ho kyā karte ho
ye jo talvār hai mazlūm ko baḳhshī jaatī
tum to zālim ko atā karte ho kyā karte ho
is tarah baat kā mafhūm badal jā.egā
lafz se lafz judā karte ho kyā karte ho
shaḳhsiyat jitnī hai utnā hī nazar aa.egā
qad se ā.īna baḌā karte ho kyā karte ho
shaKH se phul juda karte ho kya karte ho
phir bahaaron ki dua karte ho kya karte ho
jab ye malum hai har waqt dua dete hain
aise logon se wafa karte ho kya karte ho
ye jo talwar hai mazlum ko baKHshi jati
tum to zalim ko ata karte ho kya karte ho
is tarah baat ka mafhum badal jaega
lafz se lafz juda karte ho kya karte ho
shaKHsiyat jitni hai utna hi nazar aaega
qad se aaina baDa karte ho kya karte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.