shaKH se phul ko phir juda kar diya
shāḳh se phuul ko phir judā kar diyā
zaḳhm peḌoñ kā kis ne harā kar diyā
ek TukḌā ḳhushī kā thā rakkhā huā
jaane kis shaḳhs ne lāpata kar diyā
kyuuñ ta.alluq kī buniyād Dahne lagī
be-yaqīnī ko kis ne khaḌā kar diyā
pahle manzil dikhā.ī mujhe aur phir
band chāroñ taraf rāsta kar diyā
vaqt ḳhud apne chehre se Dar jā.egā
maiñ ne ehsās ko aa.ina kar diyā
kaun ḳhush-fahmiyāñ pāltā roz-o-shab
shukr hai zindagī ne rihā kar diyā
vaqt ne chaal kaisī chalī ai 'hasan'
dost jaise ko dushman-numā kar diyā
shaKH se phul ko phir juda kar diya
zaKHm peDon ka kis ne hara kar diya
ek TukDa KHushi ka tha rakkha hua
jaane kis shaKHs ne lapata kar diya
kyun talluq ki buniyaad Dahne lagi
be-yaqini ko kis ne khaDa kar diya
pahle manzil dikhai mujhe aur phir
band chaaron taraf rasta kar diya
waqt KHud apne chehre se Dar jaega
main ne ehsas ko aaina kar diya
kaun KHush-fahmiyan palta roz-o-shab
shukr hai zindagi ne riha kar diya
waqt ne chaal kaisi chali ai 'hasan'
dost jaise ko dushman-numa kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.