shaKHon par ibham ke paikar laTak rahe hain
shāḳhoñ par ib.hām ke paikar laTak rahe haiñ
lafzoñ ke jañgal meñ ma.anī bhaTak rahe haiñ
pākīza aḳhlāq musallat hai jazbe par
ḳhvāhish kī ā.ankhoñ meñ kāñTe khaTak rahe haiñ
malhāreñ gaate haiñ meñDak taal kināre
āsamān par bhūre bādal maTak rahe haiñ
matle par yādoñ kī pau sī phuuT rahī hai
man par kaale saañp apne phan paTak rahe haiñ
ḳhushbū kī chorī kā daaġh lagā hai un par
sab gul-būTe apne dāman jhaTak rahe haiñ
aisī jiddat se ham ko kyā mil jā.egā
paḌhne vaale har misra.a par aTak rahe haiñ
shaKHon par ibham ke paikar laTak rahe hain
lafzon ke jangal mein mani bhaTak rahe hain
pakiza aKHlaq musallat hai jazbe par
KHwahish ki aaankhon mein kanTe khaTak rahe hain
malhaaren gate hain meinDak tal kinare
aasaman par bhure baadal maTak rahe hain
matle par yaadon ki pau si phuT rahi hai
man par kale sanp apne phan paTak rahe hain
KHushbu ki chori ka dagh laga hai un par
sab gul-buTe apne daman jhaTak rahe hain
aisi jiddat se hum ko kya mil jaega
paDhne wale har misra par aTak rahe hain
- Book : kamaan (Pg. 242)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.