sham aa kar jharokon mein baiThi rahe
shaam aa kar jharokoñ meñ baiThī rahe
sā.atoñ meñ samundar pirotī rahe
mausamoñ ke havāle tire naam se
dhuup chhāñv mere dil meñ hotī rahe
jī na chāhā tirī mahfiloñ se uThūñ
bebasī ḳhālī nazroñ se taktī rahe
tum ne māñgā hai ehsās is Dhañg se
pattharoñ kī ḳhamoshī pighaltī rahe
yuuñ guzarte raheñ yaad ke qāfile
merī galiyoñ meñ raunaq sī lagtī rahe
sham aa kar jharokon mein baiThi rahe
saaton mein samundar piroti rahe
mausamon ke hawale tere nam se
dhup chhanw mere dil mein hoti rahe
ji na chaha teri mahfilon se uThun
bebasi KHali nazron se takti rahe
tum ne manga hai ehsas is Dhang se
pattharon ki KHamoshi pighalti rahe
yun guzarte rahen yaad ke qafile
meri galiyon mein raunaq si lagti rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.