sham aai teri yaadon ke sitare nikle
shaam aa.ī tirī yādoñ ke sitāre nikle
rañg hī ġham ke nahīñ naqsh bhī pyāre nikle
ek mauhūm tamannā ke sahāre nikle
chāñd ke saath tire hijr ke maare nikle
koī mausam ho magar shān-e-ḳham-o-pech vahī
raat kī tarah koī zulf sañvāre nikle
raqs jin kā hameñ sāhil se bahā laayā thā
vo bhañvar aañkh tak aa.e to kināre nikle
vo to jaañ le ke bhī vaisā hī subuk-nām rahā
ishq ke baab meñ sab jurm hamāre nikle
ishq dariyā hai jo tere vo tahī-dast rahe
vo jo Duube the kisī aur kināre nikle
dhuup kī rut meñ koī chhāñv ugātā kaise
shāḳh phūTī thī ki ham-sāyoñ meñ aare nikle
sham aai teri yaadon ke sitare nikle
rang hi gham ke nahin naqsh bhi pyare nikle
ek mauhum tamanna ke sahaare nikle
chand ke sath tere hijr ke mare nikle
koi mausam ho magar shan-e-KHam-o-pech wahi
raat ki tarah koi zulf sanware nikle
raqs jin ka hamein sahil se baha laya tha
wo bhanwar aankh tak aae to kinare nikle
wo to jaan le ke bhi waisa hi subuk-nam raha
ishq ke bab mein sab jurm hamare nikle
ishq dariya hai jo tere wo tahi-dast rahe
wo jo Dube the kisi aur kinare nikle
dhup ki rut mein koi chhanw ugata kaise
shaKH phuTi thi ki ham-sayon mein aare nikle
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(sadbarg) (Pg. 86)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.