sham achchhi hai na sahar achchhi
shaam achchhī hai na sahar achchhī
yaar bhejo koī ḳhabar achchhī
ḳhuub paa.ī hai ye nazar achchhī
is taraf hai burī udhar achchhī
hai ye tasvīr kitne chehroñ kī
kahīñ āñkheñ kahīñ kamar achchhī
ab kahīñ bhī nazar nahīñ aatī
vo jo thī ek rahguzar achchhī
kis taraf jaa.e aadmī āḳhir
hai fazā dasht meñ kidhar achchhī
is meñ achchhā hai kyā pata 'nāzim'
mujh ko lagtī hai vo magar achchhī
sham achchhi hai na sahar achchhi
yar bhejo koi KHabar achchhi
KHub pai hai ye nazar achchhi
is taraf hai buri udhar achchhi
hai ye taswir kitne chehron ki
kahin aankhen kahin kamar achchhi
ab kahin bhi nazar nahin aati
wo jo thi ek rahguzar achchhi
kis taraf jae aadmi aaKHir
hai faza dasht mein kidhar achchhi
is mein achchha hai kya pata 'nazim'
mujh ko lagti hai wo magar achchhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.