sham apni be-maza jati hai roz
shaam apnī be-mazā jaatī hai roz
aur sitam ye hai ki aa jaatī hai roz
koī din āsāñ nahīñ jaatā mirā
koī mushkil aazmā jaatī hai roz
mujh se pūchhe koī kyā hai zindagī
mere sar se ye balā jaatī hai roz
jaane kis kī surḳh-rūī ke liye
ḳhuuñ meñ ye dhartī nahā jaatī hai roz
giit gaate haiñ parinde sub.h o shaam
yā samā.at chahchahā jaatī hai roz
dekhne vāloñ ko 'ajmal' zindagī
rañg kitne hī dikhā jaatī hai roz
sham apni be-maza jati hai roz
aur sitam ye hai ki aa jati hai roz
koi din aasan nahin jata mera
koi mushkil aazma jati hai roz
mujh se puchhe koi kya hai zindagi
mere sar se ye bala jati hai roz
jaane kis ki surKH-rui ke liye
KHun mein ye dharti naha jati hai roz
git gate hain parinde subh o sham
ya samaat chahchaha jati hai roz
dekhne walon ko 'ajmal' zindagi
rang kitne hi dikha jati hai roz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.