sham Dhale ghar lauT rahe hain KHud se hi uktae log

sham Dhale ghar lauT rahe hain KHud se hi uktae log
Krishna Kumar Naz
MORE BYKrishna Kumar Naz
shaam Dhale ghar lauT rahe haiñ ḳhud se hī uktā.e log
apnī nākāmī kī gaThrī kandhe par laTkā.e log
chintā meñ haiñ yā chintan meñ ye kah paanā mushkil hai
dīvāroñ ko taak rahe haiñ bin palkeñ jhapkā.e log
ḳhasta-hāl purāne album kī dhuñdlī tasvīroñ meñ
jaane kab se DhūñDh rahe haiñ ḳhud ko aañkh gaḌā.e log
apne ḳhaas kisī maqsad se jo raste vābasta haiñ
be-matlab hī ghuum rahe haiñ un par bhiiḌ jamā.e log
yādoñ ke gulshan meñ yuuñ to rang-birange phuul bhī haiñ
lekin phirte haiñ kāñToñ ko siine se chipkā.e log
hoñToñ par to dariyāoñ ke qisse haiñ ābād magar
zehnoñ meñ phirte haiñ keval angāre dahkā.e log
sab ke jazbe rusvā karnā kuchh logoñ kā shaġhl hai 'nāz'
poroñ par ginñe laa.iq haiñ ye bhaTke-bhaTkā.e log
sham Dhale ghar lauT rahe hain KHud se hi uktae log
apni nakaami ki gaThri kandhe par laTkae log
chinta mein hain ya chintan mein ye kah pana mushkil hai
diwaron ko tak rahe hain bin palken jhapkae log
KHasta-haal purane album ki dhundli taswiron mein
jaane kab se DhunDh rahe hain KHud ko aankh gaDae log
apne KHas kisi maqsad se jo raste wabasta hain
be-matlab hi ghum rahe hain un par bhiD jamae log
yaadon ke gulshan mein yun to rang-birange phul bhi hain
lekin phirte hain kanTon ko sine se chipkae log
honTon par to dariyaon ke qisse hain aabaad magar
zehnon mein phirte hain kewal angare dahkae log
sab ke jazbe ruswa karna kuchh logon ka shaghl hai 'naz'
poron par ginne laiq hain ye bhaTke-bhaTkae log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.