sham Dhali hai sahra hai KHamoshi hai
shaam Dhalī hai sahrā hai ḳhāmoshī hai
zehn meñ terā chehra hai ḳhāmoshī hai
uktāyā ik dil pathrā.ī āñkheñ haiñ
dariyā utrā utrā hai ḳhāmoshī hai
dīvānoñ kī aur bhalā kyā ḳhvāhish hai
ik cigarette ik kamrā hai ḳhāmoshī hai
lab khulte hī sach bāhar aa jā.egā
socho kitnā achchhā hai ḳhāmoshī hai
bhītar koī chīḳh rahā hai aur bāhar
rassī hai ik pankhā hai ḳhāmoshī hai
sham Dhali hai sahra hai KHamoshi hai
zehn mein tera chehra hai KHamoshi hai
uktaya ek dil pathrai aankhen hain
dariya utra utra hai KHamoshi hai
diwanon ki aur bhala kya KHwahish hai
ek cigarette ek kamra hai KHamoshi hai
lab khulte hi sach bahar aa jaega
socho kitna achchha hai KHamoshi hai
bhitar koi chiKH raha hai aur bahar
rassi hai ek pankha hai KHamoshi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.