sham-e-alam bhi guzri pahlu badal badal kar
shām-e-alam bhī guzrī pahlū badal badal kar
rotā rahā hai ye dil pahroñ machal machal kar
manzil kī justujū meñ pahuñche kahāñ kahāñ ham
dekhā kiye tamāsha raste badal badal kar
shahr-e-vafā meñ ham ne sab kuchh luTā diyā hai
ye baat un se kahnā logo sambhal sambhal kar
kyā zid kareñge tujh se ai gardish-e-zamāna
hañsnā bhī aa gayā hai ġham se bahal bahal kar
'gulnār' zabt-e-ġham kī ye intihā bhī dekhī
dāman bhigo rahe haiñ aañsū nikal nikal kar
sham-e-alam bhi guzri pahlu badal badal kar
rota raha hai ye dil pahron machal machal kar
manzil ki justuju mein pahunche kahan kahan hum
dekha kiye tamasha raste badal badal kar
shahr-e-wafa mein hum ne sab kuchh luTa diya hai
ye baat un se kahna logo sambhal sambhal kar
kya zid karenge tujh se ai gardish-e-zamana
hansna bhi aa gaya hai gham se bahal bahal kar
'gulnar' zabt-e-gham ki ye intiha bhi dekhi
daman bhigo rahe hain aansu nikal nikal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.