sham-e-firaq subh-e-daraKHshan hai aaj-kal
shām-e-firāq sub.h-e-daraḳhshāñ hai āj-kal
har ashk jaise nayyar-e-tābāñ hai āj-kal
yārab matā-e-dard mohabbat kī ḳhair ho
phir chashm-e-nāz silsila-jumbāñ hai āj-kal
allāh-re jazb-e-ishq kī pindār-e-husn-e-dost
majrūh-e-iltifāt-e-gurezāñ hai āj-kal
barpā hai chashm-e-nāz meñ phir hashr-e-iltifāt
sach-much jafā pe koī pashemāñ hai āj-kal
lau de uThe haiñ dīda-o-dil fart-e-shauq se
mehrāb-e-zindagī meñ charāġhāñ hai āj-kal
sham-e-firaq subh-e-daraKHshan hai aaj-kal
har ashk jaise nayyar-e-taban hai aaj-kal
yarab mata-e-dard mohabbat ki KHair ho
phir chashm-e-naz silsila-jumban hai aaj-kal
allah-re jazb-e-ishq ki pindar-e-husn-e-dost
majruh-e-iltifat-e-gurezan hai aaj-kal
barpa hai chashm-e-naz mein phir hashr-e-iltifat
sach-much jafa pe koi pasheman hai aaj-kal
lau de uThe hain dida-o-dil fart-e-shauq se
mehrab-e-zindagi mein charaghan hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.