shām-e-furqat ke sitāre to asar tak Thahre
haañ vafādār the aañsū jo sahar tak Thahre
jalve dekhe to malak aur bashar tak Thahre
sajde karne ke liye shams-o-qamar tak Thahre
dāstāñ rañg par aa.ī to zamāna badlā
Dūbte taare bhī āġhāz-e-sahar tak Thahre
kah de khiltī huī kaliyoñ se koī gulshan meñ
itnā halkā ho tabassum ki nazar tak Thahre
jagmagātī huī maujoñ kā to kyā zikr koī
kashtī aate hue dekhī to bhañvar tak Thahre
sham-e-furqat ke sitare to asar tak Thahre
han wafadar the aansu jo sahar tak Thahre
jalwe dekhe to malak aur bashar tak Thahre
sajde karne ke liye shams-o-qamar tak Thahre
dastan rang par aai to zamana badla
Dubte tare bhi aaghaz-e-sahar tak Thahre
kah de khilti hui kaliyon se koi gulshan mein
itna halka ho tabassum ki nazar tak Thahre
jagmagati hui maujon ka to kya zikr koi
kashti aate hue dekhi to bhanwar tak Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.