sham-e-furqat mila ye sahaara mujhe
shām-e-furqat milā ye sahārā mujhe
bārhā be-kasī ne pukārā mujhe
aa gayā haath meñ jām-e-kaif-āfrīñ
mil gayā hijr-e-ġham kā kinārā mujhe
kar gayā be-niyāz-e-ġham-e-īn-o-āñ
un kī dilkash nazar kā ishārā mujhe
inqalāb-e-mohabbat ye kyā ho gayā
un kā ġham bhī nahīñ ab gavārā mujhe
tere jalvoñ ko thī jab mirī justujū
yaad hai aaj tak vo nazārā mujhe
laakh ho zer phir bhī ġham-e-zindagī
sau sahāroñ kā hai ik sahārā mujhe
roz-afzūñ hai bechārgī ishq kī
sūjhtā hī nahīñ koī chārā mujhe
kah diyā un se 'parvez' sab hāl-e-dil
ḳhāmushī de ga.ī hai sahārā mujhe
sham-e-furqat mila ye sahaara mujhe
barha be-kasi ne pukara mujhe
aa gaya hath mein jam-e-kaif-afrin
mil gaya hijr-e-gham ka kinara mujhe
kar gaya be-niyaz-e-gham-e-in-o-an
un ki dilkash nazar ka ishaara mujhe
inqalab-e-mohabbat ye kya ho gaya
un ka gham bhi nahin ab gawara mujhe
tere jalwon ko thi jab meri justuju
yaad hai aaj tak wo nazara mujhe
lakh ho zer phir bhi gham-e-zindagi
sau sahaaron ka hai ek sahaara mujhe
roz-afzun hai bechaargi ishq ki
sujhta hi nahin koi chaara mujhe
kah diya un se 'parwez' sab haal-e-dil
KHamushi de gai hai sahaara mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.